Sitemap
Kartik Gupta

Kartik Gupta

I am a student in the school of life, with a great interest in writing.

Ghar

2 min readJul 2, 2026

Hume humse milata hamara aashiyana.

Press enter or click to view image in full size

Bohot dino baad jab ghar jao to pehle din sab badla-badla sa lagta hai, woh switch-board wo T.V. pannel, kabhi bed bada lagta hai to kabhi lagta hai ki ye fridge pehle bhi esa hi tha kya, fir usse kholte ho, wo bhara hua hota hai usme kuch khane ka dhundhte ho aur foir lagta hai, “Haan yaar pehle bhi esa hi tha ye to”.

Baaki cheezein bhi agle din se firse wese bilkul pehle jaisi ho jaati hain, woh mummy ki daant, woh papa ke aate hi T.V. band karna, kisi kaam ke kahe jaane par sone ka natak karna, matlab sab kuch bilkul wesa hi ho jana jaise pehle hua karta tha, shayad isiliye woh jagah ghar hai, kyunki woh aapko aapke apno se aur sabse zyada khud se jodti hai, aur waapis laati hai har haseen din, har haseen pal aur kabhi na bhulayi ja sakein aesi kayi saari yaadein.

Get Kartik Gupta’s stories in your inbox

Join Medium for free to get updates from this writer.

Ghar ke har kone mai na jaane kitni yaadein hain, yahan par bachpan mai bhagte-bhagte gir gaya tha, wahan par beth kar padhta tha, yahan school se mili saari trophy saja rakhi hain, wahan beth ke computer chalate the, aur sabse aham wo chhat, jispar kabhi bollywood ke gaane sune aur gaaye the, kisi chaand se bhi zyada khoobsurat chehre ko mann mai rakhkar aur baad mai kisi raat usse phone par bhi wahin usi chhat par baat huyi thi.

Har ek cheez, choti se badi har ek cheez ghar ke baare mai khoobsurat lagti hai, par kyun?

Pehle to yahan reh kar pareshaan ho jaate the,
Ab jab kabhi-kabhi jaate hain to ye ghar jaane ki tadap kesi,
Ab woh mummy ke haath ke khaane ki lallak kesi,
Ghar se pyaar aur bahar ke kamre se halki si ye nafrat kesi?

Ghar jaake sab kuch pehle jesa ho jata hai-
woh din, woh raat, woh shaamein,
woh dost, woh ghar wale, woh baatein.

Kya stress tha, kya dikkatein thi, sab khatam, sab gayab,
Aur ye sab shayad isiliye kyunki Wo ghar hai.

Jahan jaane ko aaj bhi mann besabar hai
Woh jagah sirf apna ghar hai.

--

--

Kartik Gupta
Kartik Gupta

Written by Kartik Gupta

I am a student in the school of life, with a great interest in writing.