Hangover!
Utarta hi nahi…
Wese hangover jab kabhi bhi utare tab utare par usse pehle ki condition aur situation hamesha mast hoti hai, kyunki usme sab kuch ho chuka hota hai, jese masti, maza aur baaki apna-apna aap log behtar jante honge.
Par mai peeta nahi, to exactly abhi pata bhi nahi, ki kesa hota hai ye hangover.
Ya aap logon wala hangover.
Par esa nahi hai ki mai hangover se bilkul hi anjaan hoon.
Sahi tareeke se dekhein to hum sab hi hangover mai hain.
Koi bachpan ki yaadon mai khoya hua hai,
koi dosti me ghum hua hai,
koi pyaar mai laapata hai,
to koi apni ex ki yaadon mai hi ghum hai.
To hangover mai to sab hi hain, koi yaadon se nahi nikal pa raha hai, koi baaton se, koi bachpan ke kisson se, koi dosti se, koi ektarfa mohobbat se.
Ya aasan shabdon me sab nashe mai hai, kisi ko jawaani ka nasha kisi ko paise ka nasha, kisi ko mohabbat ka nasha, kisi ko ghoomne ka nasha, kisi ko dosti ka nasha, kisi ko kisi cheez ka nasha, kisi ko kisi aur cheez ka nasha.
Get Kartik Gupta’s stories in your inbox
Join Medium for free to get updates from this writer.
But maza jitna iss nashe ka hai na usse zyada maza hai iss hangover ka.
Mujhe nasha hai logon ke saath ka, unke saath ki jaane wali masti ka, apne doston, apne bhai-beheno ke saath, apne apno ke saath time bitaane ka nasha.
Aur iss sab ke baad iss sab ko yaad karke, fir se hasne ka maza sabse zyada hota hai, to mera hangover hota hai kisi shaadi se waapis laut ke agle kamsekam ek hafte tak uss sab ko yaad karke haste rehna, ya sabke saath bitaye huye time me ki huyi harkaton jesi similar reels dhundh ke unhe bhejna.
Ya doston ke saath lunch time me bitaaye huye time ka maza, jese kabhi dosa khaane chale jana, kabhi ek doosre pe joke marna, kabhi bass jaan ke khud par chup chaap joke le lena taaki wo bhi hass sake, kabhi lift mai chadhte huye kisi ko dhakka deke lift se usse nikal dena.
Aur fir ek din sabse door hone ke baad jab yaad aati hai wo har ek harkat aur har ek baat, tab jo maza aata hai mai to shayad bass isi ke liye jee raha hoon.
Kuch log iss sab ki wajah se too much attached ya home-sick ho jaate hain par kya fark padta hai, ek esa hangover jo aapko sar dard de, pareshaan kare usse better hai ki hum hangover mai rahein achchi yaadon ke.
Agar nasha ho bhi to daaru ka hi kyun ho, kaash wo dosti ka ho.
Kyunki sharaab ke hangover mai hum sab bhool jaate hain wahin iss hangover mai hume sab kuch yaad reh jata hai, sabse milne ka mann karta hai, aur fir dobara milne par hamare paas hoti hain karne ko kayi saari baatein aur mazedaar kisse, aur wese bhi achcha khaane , achcha kamaane, achche ghar mai rehne ke baad jis ek cheez ki sabse zyada kami lagegi woh hogi apno ki apno ki baatoon ki unke us saath ki.
To haan yaar hangover mai to hum saare hi hain, bass baat ye hai ki hum sab jis hangover mai hain usse kehte hain- ZINDAGI
Nashe ke baad jo reh jata hai,
jiske utarne ke baad sab gayab ho jata hai.
Ye hangover hi to hai
Jiski wajah se best moment gayab ho jata hai.
Par apna hangover jayega hi nahi,
apna best moment gayab, ho payega hi nahi
Kyunki apna nasha zindagi ka hai daaru ka nahi
aur hangover masti ka hai madira ka nahi.



